sampatrajpurohit |
Member Joined Mar 24 2011
Actions
General Info
sirsi, India
Site Memberships
sampat rajpurohit RAJPUROHIT SAMAJ |
About Me
wo kehti hain tumhare baad kyun barish nahi hoti... main kehta hun meri jaan hijr sehraon mein rehta hain... wo kehti hai khusiyon me bhi tum to rone lagtay ho... me kehta hun meri aankhon ko sawan acha lagata hain.. wo kehti hai sab kuch itfaqan hain tumhara gum... Main kehta hun yeh momkin hai yeh sab Aihtaraman ho Woh kehti hai main kuch muztarib si hun... Main kehta hun tum b meri rooh jasi ho.... Woh kehti hai tumhay kyun khoof ata hai hawao se... Main kehta hun deep tou aise he hotay hain.. Woh kehti hai chalo hawa k sath chalte hain.. Main khamoshi se us k sath chal deta hun bhujnay ko.. Mujh se pouchti hai tum kahan gaib ho saadio se Main kehta hun hazaro waswaso mai gum rehta hun Woh kehti hai tum kuch dino se boltay kam ho Main kehta hun kahin dukh bolnay se rook layte hain Woh kehti hai mujhe yeh souch kar batla main kasi hun Main kehta hun souchnay mai waqat lagta hai Woh kehti hai koon aksar yaad ata hai uhdasi mai Main kehta hun kuch puranay rastay bachpan aur ek larki Woh kehti hai samundar sa koi rehta hai meri ankhon mai Main kehta hun kabhi meray dil mai jhank kar dekho Woh kehti hai sath ban janay se behtar hai bichar jayen Main us ki baat pay dukh se hasa aur kuch nahi bola Woh mujh se pouchti hai hum ager kuch b nahi hun tou Main kehta hun nahi hona b hota hai Jahano mai Woh kehti hai kisi ko mat batana meray bare mai Main kehta hun muger is geet ko aur chandni shab ko Woh kehti hai dard per b ek dard ki surat hota hai Main is k baad ketni dair tak kuch nahi bola Woh Kehti hai tumhare baad kyun barish nahi hoti.. Main kehta hun meri jaan hijr sehraon mai rehta hai.. Post a CommentOops!The words you entered did not match the given text. Please try again. 0 Comments |
Oops!
Oops, you forgot something.